Monday, July 18, 2016

Ek jung meri bhi

Jabhi nikli hain bandooq se goli, lagi hain kisi aurat k seene pe, chahe use maa kaho ya aamijaan.
Azaadi k liye ehtejaj karne wale aur watan k seephai akhir ladh toh rahe hain kisi maa ki kokh suni karne.
Kisi ko hain jannat ki arzoo toh kisi ko hain shahadat ka jazba.
Shayad yeh sabaq bhul gaye ki asli jannat toh hoti hain maa k payron mein.
Jaane kab khatam hogi yeh Jung tabahi ki, kab barsenge guldaste fullon k goliyon ki jagah.
Jab kabhi hosh mein aaoge tab paooge unn kaatilon ko jinhone sarzameen-e-jannat ko jahannum bana diya.
Woh katil dikhenge aaine mein, tab Gaur se dekhna unki aakhon mein, shayad milega tumhe apne jannat ka raasta.
Ya phir sunayi degi woh cheekhen unn massumo ki Jo kho gaye iss jahannum mein.

Fazr

No comments:

Post a Comment