Friday, July 1, 2016

Meri pehli Urdu Nazm

Meri pehli Urdu Nazm

Ek takhte se zhankkar meri kitaab ne mujhse poocha aakhir raaj kya hain iss berukhi ka?
Kyu bhool gaye unn haseen raaton ko jab tum apni hateliyon mein mujhe rakhkar padha karte the?
Kya hua unn alfhazon ko jo tumhari kalam k syahi se mere har wark ko muqarar karti thi?
Din beetein chale ja rahe, mujhpar jami dhul ko toh kabhi bedagh kiya karo.
Fir se apni hatheliyon mein na sahi lekin apni ruh se toh mujhko juda na karo.
Waqt aisa aa gaya ki mere liye waqt nikalna bad az qiyas ho gaya.
Kabhi yaad aati hain woh nazme jinka meine tumse taroof karvaya tha?
Wohi nazme jinki tehreek se jeena seekh liya.
Na jane kis cheez ka anjaam dene nikle ho ki apne aghaz tak ko peeche chod diya.
Jab bhi araam mile iss jadojehad se, palat k dekhna uss takhte ki aur.
Mein wohi milungi muskurate hue tumhare intezar mein.

Fazr

No comments:

Post a Comment